Chupate kab tak hum apni tanhayee ko
Humsafar ban kar akele chhod gaya koi
iss rahee ko
Shiqayat nahi humein uss bewafa
humrahee se
Lafz nahi milte karne ko apne zazbat
bayan
Kaiselikhun halat apni is nacheez sihayi
se
Judayee apne pyar ka khamoshi se sahe
jaa rahein hain
Khushi zhalakti hai chehre se par dil-e-
gum piye jaa rahe hain
Dost dete hain maushvira ki bhul jaao
use, wo thi ek bewafa
Par na jane humein kyon lagta hai wo hai
murat-e-wafa
Samhale rakhta hoon apne khayalon ko ki
kahin bikhar na jaye
Darr hai bikhar gaye kahin agar ye mere
dard-e-zazbat
Anjaam-e-mohabbat se meri kahin, ye
duniya na sihar jaye
Sunday, August 11, 2013
Anjaam-e-mohabbat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment