Monday, October 13, 2014

Ek mulaqat zaroori, hai zaroori, jeene ke liye

Ek mulaqat ho, tu mere paas ho

Ek mulaqat ho, tu mere paas ho
Jeene ki wajah tum bano, tum bano
Ban ke tu rahbar, mujhko mila hai
Tu mil gaya main muqammal huya
Ek mulaqat zaroori, hai zaroori, jeene ke liye
Haan mulaqat zaroori, hai zaroori, zindagi ke liye

Main tujhe choom loon, chahat si hoti hai
Paas tu jo rahe, rahat si hoti hai
Main tujhe choom loon, chahat si hoti hai
Paas tu jo rahe, rahat si hoti hai
Chal pyaar ki nayi shuruaat ho
Kuch na kahe par, saari baat ho
Ban ke tu rahbar, mujhko mila hai
Tu mil gaya main muqammal huya
Ek mulaqat zaroori, hai zaroori, jeene ke liye
Haan mulaqat zaroori, hai zaroori, zindagi ke liye

Har pal dil mein adhoorapan sa hai
Bhatke tanha, banjara jeevan hai
Har pal dil mein adhoorapan sa hai
Bhatke tanha, banjara jeevan hai
Main hoon kya bas , ek aadha aasmaan
Naa rakh paaun f asla darmiyaan
Ban ke tu rahbar, mujhko mila hai
Tu mil gaya main muqammal huya
Ek mulaqat zaroori, hai zaroori, jeene ke liye
Haan mulaqat zaroori, hai zaroori, zindagi ke liye...

Sunday, October 12, 2014

Maheroo Maheroo

Haan..
Thoda thoda shor hai dil mein, thoda thoda gum sum hai
Thodi thodi saaf hai baatein, thodi thodi uljhan hai

Thoda thoda shor hai dil mein, thoda thoda gum sum hai
Thodi thodi saaf hai baatein, thodi thodi uljhan hai
Maheroo de sukoon, kar meri chahat qubool
Kar qubool, de sukoon, maheroo, maheroo
Maheroo de sukoon, kar meri chahat qubool
Kar qubool, de sukoon, maheroo, maheroo

Tum se mili toh yun laga, khud se huyi hoon main rubaroo
Mere pyaar ki har d aas taan, tujh pe khatam tujh se shuru
Aa..
Tum se mila toh yun laga, khud se huya hoon main rubaroo
Mere pyaar ki har daastaan, tujh pe khatam tujh se shuru
Dil ki sar-zameen pe, tera sajda main karoon
Aaja mere maahi, khud ko tujh se jodd doon
Maheroo de sukoon, kar meri chahat qubool
Kar qubool, de sukoon, maheroo, maheroo

Saturday, October 11, 2014

Logon se dhoka khane ki, aadat si ho gayi hai…

Beeti baatein dohraanein ki aadat si ho gayi hai,
Chalte chalte ruk jaane ki aadat si ho gayi hai…
Hum ko ye bhi yaad nahin, kya khoya hai, kya paaya hai,
Logon se dhoka khane ki, aadat si ho gayi hai…
Jab dil par koi zakhm laga, khaamosh rahe yaa hasne lage,
Humko aansoon pe jaane ki, aadat si ho gayi hai…
Apni to yeh aadat hai, chup rahte hain, yaa sach kahte hain…
Shayad isi liyee duniya wale humse
hamesha khafa rahte hai…!!

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...