Sunday, July 19, 2015

Sapna jahan | Brothers | Sonu Nigam | Neeti Mohan | Ajay- Atul

Sapna jahan dastak na de
 Chaukhat thi woh aankhein meri
 Baaton se thi tadaad mein
 Khamoshiyan zyaada meri
 Jabse pade tere kadam
 Chalne lagi duniya meri




Mere dil mein jagah Khuda ki khaali thi
 Dekha wahan pe aaj tera chehra hai
 Main bhatakta huaa sa ek baadal hoon
 Jo tere aasmaan pe aake thehra hai




Tu rooh hai toh main kaaya banu
 Taa-umr main tera saaya banu
 Keh de toh ban jaaun bairaag main
 Kehde toh main teri maaya banu
 Tu saaz hai, main ragini
 Tu raat hai, main chandni
Mere dil mein jagah Khuda ki khali thi
 Dekha wahan pe aaj tera chehra hai
 Main bhatakta huaa sa ek baadal hoon
 Jo tere aasmaan pe aake thehra hai




Hum pe sitaaron ka ehsaan ho
 Poora, adhoora har armaan ho
 Ek dusre se jo baandhe humein
 Baahon mein nanhi si ik jaan ho
 Aabaad ho chota sa ghar
 Lag na sake kisi ke nazar
Mere dil mein jagah Khuda ki khaali thi
 Dekha wahan pe aaj tera chehra hai
 Main bhatakta huaa sa ek badal hoon
 Jo tere aasmaan pe aake thehra hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...